Shayari


Ye dil tujhe itni shiddat se chahta kyu hai,
Har saans ke sath tera hi naam aata kyu hai,,

Tu kitna bhi mujhse faslaa rakhle,,
Zikr phir bhi tera meri zaban pe aata kyu hai,

Yuh to hai kayi fasle tere mere bich,
Lgata phir bhi tu mujhko meri jaan sa kyu hai,,

Teri furkat main tadapne ki ho chuki hai adat meri,
Tere dur hone ka phir bhi ehsaas mujko rulata kyu hai,,

Ye jaanti hu ke tujhko nahi mohabbat mujhse,
Magar phir bhi lab pe mere tera hi naam aata kyu hai,,

Hai yaqeen tujhko paana na hoga mumqeen mere liye,
Ye dil phir bhi roz umeed ki shama jalata kyu hai,,

Mehsus ki hai berukhi teri baato mian kayi baar maine,
Lehjo wo phir bhi tera mujhko itna bhata kyu hai,,

Hai khabar mujhko nikalega tu meri chahat ka janaza ek din,
Mann mera phir bhi tere khwab sajata kyu hai,,

Gar bichad na hi hai to khuda humko milata kyu hai,
Hum ko akhir wo itna satata kyu hai,

Dil mera tujhko itni shiddat se chahta kyu hai,
Har saans ke sath tera hi naam aata kyu hai….,,...)



Na yeh chupaya ki pyar kitna hai,
Na yeh jataya ki dard kitna hai,
Yeh hum ya hamara Khuda hi janta hai,
Ki Aap se mulakaat ka intzaar kitna hai.....)


Chale jaoge beshak meri zindagi se,
magar is dil se kis tarah jaoge,

ayegi jab meri yaad ,ansu bahaoge ,
chahoge mujhse milna, par mil nahi paoge,..........)



Dekho meri aankhon main khwab kiska hai,
Dekho mare dil main tufaan kiska hai,
Tum kahte ho mere dil ke raaste se koi nahi gujra,
To fir yah pairon ke nishan kiske hai …)



Sadiyon baad us ajnabi se mulakaat hui,
Aankhon hi aankhon main chahat ki har baat hui,
Jaate hue usne dekha mujhe chaahat bhari nighaon se,
Meri bhi aankhon se aanshuon ki barsaat hui ….)


Ek ajnabi se mujhe itna pyaar kyon hai,
Inkaar karne par chaahat ka ikraar kyon hai,
Usen paana nahi meri taqdeer main shyad,
Fir bhi har mod par usi ka intjaar kyon hai ….)


Is kadar hum unki mohabbat main kho gaye,
Ki ek nazar dekha aur bas unhi ke hum ho gaye,
Aankh khuli to andhera tha dekha ek sapna tha,
Aankh band ki aur unhi sapno main fir kho gaye …)


Mohabbat nahi hai koi kitabon ki baaten,
Samjhoge jab ro kar kuch kaatoge raaten,
Jo chori ho gaya to pata chala dil tha humara,
Karte the hum bhi kabhi kitabon ki baaten …..)


Mohobbate mukam har kisi ko nahi milta,
dilo ka jahan har kisis ko nahi milta,
pyar vo nadi hai jiske raste me aag ka dariya hai,
tabhi to is nadi ka kinara har kisi ko nahi milta....)


Hum khak jamin ki hokar...
us chaand ki hasrat kar baithe....
wo cheez khuda se unchee thi .....
hum jis se muhabbat kar baithe....:)

Tasvir aapki aankhon me basi hai....
dur hi sahi par aap humse juda to nhi hai...
aaadhi adhuri hi sahi par mulaqat to hoti hai.....
sath ho aap... khamosh hi sahi..bate ho ye jaruri to nh hai....)


Jab kabhi bhi hum ruth jate hai...
humare aansu wo dekh nahi pate hai...
unhe kya pata hath unk e chu jaye humare gaalo ko
isi umeed me hum ruthte bhi hai
 orr khud ko rulate bhi hai....)


zindagi main har lamha guzar raha tha tanha tanha,
par is zamane ne mohabat ki yaad ke bina ek bhi kadam chalne na diya,
kaun nahi chahta khuda ke hasin nazaro dekhna,
par us sanam ne chah kar bhi apna hone na diya.....)




Jabse mile ho dil main base ho lamha lamha,
tumhari har ada ko yaad karta hun lamha lamha,
meri har khushi har inayat tumhi se hai lamha lamha,
shayad woh khoobsurat lamha nai ayega jab tu meri bahon main ho,
par meri yeh mohabbat zinda rahegi lamha lamha......:)





Der raat jab unse baat hoti thi...
waqt ka koi andaza na hota tha...
pata hi nh lagta tha kab saver ho jata tha...
unka sath itna pyara hota tha...
mano har ek lamha haseen hota tha...
unke siva kisi aur ka ehsaas na hota tha........" :)


kuch lamhe jo gujare humne unke saath....
to phir kabhi khudse baat na ho saki....
bewafa to yeh taqdeer nikli....
ke phir kabhi mulaqat na ho saki!!!! .......:)





Zubaan khamosh, aankhon mein nami hogi,
Yahi bas ek dastaan-e-zindagi hogi,
Bharne ko to har zakhm bhar jayega,
Kaise bharegi woh jagah jahaan aapki hogi!!!...............:)





Arthi uthi meri waha...yaha usaka Janaja aagaya..
Kabra khudi usakii meri chita ka saman aagaya...
aakhari safar tak saath hone na diya 'DHARAM' ne...
Jameen me woh main hawa me bich hamare zamana aagaya.............:) ♥






Bewafa mein uska naam aata nahin
Woh bewafa hojaye yeh humko yakeen aata nahin
Eh hawaaon tum hi jao mere PYAAR ko le aao
Aaj kal mere bulane se woh aata nahin....."
CHARGE AFTAB GUM BADI HASEEN RAT THI
SHABAB KI NAQAB GUM BADI HASEEN RAT THI

MUJHE PILA RAHE THE WO KI KHUD HI SHMMA BHUJ GAYI 
GILAS GUM SHARAB GUM BADI HASEEN RAT THI.......:)
Kitna majboor hu main apni hi kismat se.........
Na use pane ki Aukaat hain.........
Aur na use bhul jaane ka Haunsla........)
!!!MAIN APNI ZINDAGI ME HAR KISI KO AHMIYAT IS LIYE DETA HN.....K,

JO ACHA HOGA WO KHUSHI DEGA, AUR JO BURA HOGA WO SABAQ DEGA.....!!!!!$..)
Hum Ne Mohbaton Ky Nashe Me Aa Kr Use Khuda Bana Dala,
Hosh Tab Aaya Jab Us Ne Kaha Ky Khuda Kisi ek Ka Nahi Hota.....)
yahi woh panktiya hoti hai joo dil ki dasta asani se keh jati hai..
inhe log aankho se padhte hai aur ye dil main utar kar reh jati hai..
dard kisi kaa bhi hoo,wah padhne wale ke zahen main utar hi jata hai..
jara ye bhi to socho ki likhne wala itna dard kaha se lata hai...........)
yahi woh panktiya hoti hai joo dil ki dasta asani se keh jati hai..
inhe log aankho se padhte hai aur ye dil main utar kar reh jati hai..
dard kisi kaa bhi hoo,wah padhne wale ke zahen main utar hi jata hai..
jara ye bhi to socho ki likhne wala itna dard kaha se lata hai...........)
Agar rakh sako to ek nishani hun main......
kho do to ek kahani hun main....
Rok sake n jise ye sari duniyan...wo ek boond aankho ka pani hun main...
Sabko pyar dene ki adat h meri...
ek alag pahchan banane ki aadat h meri.....
Kitna bhi gahra jakhm de koe...
utna hi muskurane ki aadat h meri.......
Ajnabi duniya me ek akela khwab hun main........................
sawalo se khafa chhota sa jwab hun main.....
.Jo samajh sake n mujhe unke liye kon.....
Or jo samajh gaye unke liye ek khuli kitab hun main....
Ankho se dekhoge to to hmesha khush paoge or ....agar
DIL SE DEKHOGE TO EK DARD KA SAILAB HUN MAIN.............)
Kisi or ke baare me sochne se phle ye soch k dekh, Kyo kisi or ne tujhe apni har soch me basa rakha hai. Kisi or ki dhadkan banne se phle ye dil se puch k dekh, Kyo kisi or ne tujhe apni dhadkan bna rakha hai. Wo to kar dega kurban apna pyar teri khushi k liye, But kabhi apne aap se puch k dekh, Kya esi din k liye usne tujhe apne lafjo me saja rakha hai..................)
teri yaad mein nahi guzarthe aise
tho koi daur nahin
jinki khwaish par sajde kiye
who aap hain aur koi nahin......)
Raste par mat baitho hawa tang karegi,
Gujare hue lamhon ki saja tang karegi,
Kisi ko mat lao dil ke itne kareeb,
Uske jane par uski har ek ada tang karegi......)
Teri Chahat Ab Meri Aankhon Me Hai…..
Teri Khushbu Meri Sanson Me Hai….
Mere Dil Ko Jo Ghayal Kar Jaye……
Aisi Ada Sirf Teri Baaton Me Hai….)
chahe mujrim smjhe ya koi gunah-gaar hme,
saaf kehte hain ik shaks se hai pyar hme,
dil dia hai kisi ko to muskrana kesa,
pyar kia hai to haalat se darna kesa,
apne is jurm ka iqrar hai sau baar hme,
saaf kehte hain k ik shakhs se hai pyar hme,
hum ne maana k hme jaan se jana hoga,
jaan de k bhi hme pyar nibhana hoga,
LO SUNO
tark-e-mohabbat se hai inkar hme,
saaf kehte hain k ik shakhs se hai pyar hme…)


Izhaar to tune na kiya tha kbhi,
Teri dosti ko hi pyaar samajhta rha,
Shayad bhool hui jo mujhse,
Teri khamosi ko hi ikraar smjhta rha......)


Wo muskra k dard taal deta hy,
Kisi kisi ko khuda ye kamal deta hy.
Nazar utha k jis ko dekh le wo ek bar,
Yaqeen karo usay mushkil main daal deta hy..............)


Wo muskra k dard taal deta hy,
Kisi kisi ko khuda ye kamal deta hy.
Nazar utha k jis ko dekh le wo ek bar,
Yaqeen karo usay mushkil main daal deta hy..............)


maikade bandh kare lakh zamane wale,
shaher mein kam nahin aankhon se pilane wale,

kash muzko bhi laga le tu kabhi sine se,
meri tasvir ko sine se lagane wale...........)


unse judai ka ek lafz mujhe shool sa lagta hai;
Unke bina sab kuch mujhe dhool sa lagta hai;
Kaise batayen unhey k kitni mohabbat hai unse hamey;
Unki chahat ke siva mujhe sab fizool sa lagta hai..............)


Kis Taraf Jao Ge Zulfon Ke Badal Le Kar

Tum Jo Hastey Ho To Phoolon Ki aada Lagte Ho
Aur Chaltey Ho to Ek Baad-e-Saba Lagte Ho

Kuch Na Kehna Mere Kandhe Pe Jhuka Kar Sar Ko
Kitne Masoom Ho Tasveer-e-Wafa Lagte Ho

Baat Karte Ho To Saaghar Se Khanak Jaate Ho
Leher Ka Geet Ho Koyal Ki Sada Lagte Ho

Kis Taraf Jao ge Zulfon K ye Badal Ley Kar
Aaj Machli Hui Saawan Ki Ghata Lagte Ho

Tum Jisey Dekh Lo Peeney Ki Zarorat Kya Hai?
Zindagi Bhar Jo Rahe Aisa Nasha Lagte Ho

Main Ne Mehsoos Kia Tum Se jo Baatein Kar k
Tum Zamane Main Zamane Se Judaa Lagte Ho.............)

Yeh jo dard hai ishq ka
Mujhe is se koi gila nahin
Yeh to zindagi ka asool hai
Kabhi apna koi hoa nahin
Yeh jo silsila hai is dard ka
... Yeh toufha younhi mila nahin
Tu jissay jan ka rb anjaan hai
Wo raaz maine kaha nahin
Mujhe apni khabar to hai magar
Teri soch ka kuch pata nahin
Yeh jo ansoon hain meri ankh main
Besabab ye baha nahin
Ye sada si jo hai gonjti
Wo lafz tu ne kaha nahin
Mera Jurm hai meri "sadagi"
Meri or koi khata nahin....)

tammana hai ki kabhi koi humse bhi iqraar kare...
kabhi naraz ho,
kabhi humse pyar kare....
dhundhti hi rhe dono ki nigaheen ek dusre ko...
kabhi mai uska,
kabhi wo mera intzaar kare...)


मत पूछ मुझे इस तस्वीर मे क्या रखा है
भोली सी आंखो मे संसार रचा रखा है
इन आंखो से झलकते सवालो मे मै हूँ
तुमने खुद मे कही मुझको छुपा रखा है

... जब भी लाता हूँ अक्स तेरा खुद के ख्यालो मे
पा जाता हूँ हर तरफ राह घने बादलो मे
मुस्कान तेरी मुझको बहुत सुहाती है
ज़मीन मेरी कही थम सी जाती है

ये होंठ तेरे कुछ ना बोलकर भी बोल जाते है
सुनना चाहता हूँ जो मै वो रस कानो मे घोल जाते है
देखते हो इस तरह की बढकर उठा लोगे मुझको
जब भी होगी परेशान सीने से लगा लोगे मुझको

जब भी तस्वीर तेरी आंखो के सामने लाता हूँ
बन्द कर के आंखो को बहुत सुकून पाता हूँ
मत पूछ मुझे इस तस्वीर मे क्या रखा है
तेरी अक्स ने मेरे ख्यालो मे मेरा ख्वाब सजा रखा है........)


Meri aankhon ka noor tha ek shakhs,
Paas reh ker bhi durr tha ek shakhs,
Zamane ki hawaon ne badel diya ho shayed,
Pehley tu na itna maghroor tha ek shakhs,
Jatey huay us ne palatt k bhi na dekha,
Khuda jane kis qadar majboor tha ek shakhs,
Zamana chahey jo bhi kahey mujhko,
Mein tu yehi kahonga ‘mere dil ka saroor tha ek shakhs’…..)






 
Blogger Widgets HTML Codes